Friday, March 27, 2020

Aaj phir

badlate waqt ka rukh
phir se mud gya hai

pawan ke jhokon ne
    ak baar phir
hmari taraf rukh kar liya hai

baadal se nikli boond
aaj phir hum par giri hai

sooraj ki laali aaj phir
hmari zindagi ko roshan kar rhi hai


samundar ki lahren aaj phir
hume dekh muskura rahi hai

aakash me udte panchhi
aaj phir hume zindagi ki sikh de rhe hai

kal tak jo hmare apne
begaane ban baithe the
aaj phir humare apne hone ki pehchaan de rhe hai

khushiyaan aaj ak bar phir
zindagi ke darwaze par dastak de rahi hai...



Neha "amrita"

Tuesday, March 24, 2020

phero se bandhe rishte

aapki nazren jab mujh pe thahar jati hai
mai khud me hi simat si jati hu

aapki baton me jab mera naam aata hai
mera chehra aur bhi nikhar jata hai

aap jab mujhko
apni parchhai btate hai

mujhe khud pe aur abhimaan ho jata hai
aap jab raahon me mujhe sath lekar chalte hai
mera safar aur bhi haseen ho jata hai

aap jab apni kamyabi ko
mujh sang jodte hai
aapki patni hone ka haq mujhe mil jata hai

Neha "amrita"

Gumaan hai khud par

Ek roz chand se humne puchha
kyun gumaan hai tujhe khud par

chand ne muskura ke kaha
"ye gumaan nahi saja hai khuda ka mujh par"

rahta hu mai taaro ke bich
laachar, akela, bebas...

bas yahi log samjhte hai
ki gumaan hai khud par




Neha "amrita"

khwahishen

Tujhe dekhne ko jee chah raha hai
tujhe yaad karne ko jee chah raha hai

Tujhe pal bhar ke liye chhune ko jee chah raha hai
bitein pal me khone ko jee chal raha hai
teri hasi, teri khushi, teri baaton ,
teri aankhon me utarane ko jee chah raha hai

teri sang khuchh kar guzarane ko jee chah raha hai
tere sang barsaat me bhingne ko jee chah rha hai
tere sang kari dhup me chalne ko jee chah rha hai
tere sang hasne ko jee chah rha hai
tere kandhe par sr rakhne ko jee chah rha hai

apne raaz ko tere raaz sang milane ko jee chah raha hai
tera fir se ho jane ko jee chah raha hai....

Neha "amrita"

Sunday, March 22, 2020

zindagi

zindagi bhi kaise- kaise mod pe aa jati hai
jab manzil lagne lge kareeb tabhi rahein dagmaga jati hai

Neha "amrita"

Teri aankhein


Dekha kabhi aaina kabhi
teri aankhon me khud ko dekhne ke baad


Neha "amrita"

Saturday, March 21, 2020

"saanso ki bewafai"

preet se lambi ab apni judaai hue
pal-pal me mai sadiyon ki paraai hue

rahein chhuti, manzil ruthi
ruthi meri zindagi..
preet se lambi ab apni judaai hue
pal-pal me mai sadiyon ki paraai hue
roti hai ab raaten meri..
milan ki raton se jyada

aankhon se moti giri..
maut se lambi saanson ki
bewafaai hue
mai to dur tumse
janmo ki praai hue,
suni hai ab rahein meri..
rasta rokein hai, rahein meri..
samundar ke jaise
aankhon me hai nami bhari..


preet se lambi ab apni judaai hue
pal-pal me mai sadiyon se paraai hue

Neha "amrita"





Dil ki batein...

Dil me bahut kuchh humne dba ke rakha hai,
kai raaz dil me chhupa ke rakha hai,

kahe bhi to hum kis se
waqt ki gehrai ne tanhaai
ka daaman thaam rkha hai,

bheegi palkon par
kuchh khone ka ehsaas to hai,

par naa jane dil ne
kyun yadon ka ghar basaa rakha hai...

Neha"amrita"

humen pata bhi naa chala

zindagi ki baat karte-karte

jane kab humen
zindagi se dosti ho gai,

Hume pata bhi naa chala...

kab khushiyon ne,
hamari zindagi me
gam ki jagah le li,

Hume pata bhi naa chala...

raat ke kaale andhere kom
kab suraj ne raushan kar diya,

humen pata bhi naa chala...

kab humne jeena sikh liya,
Humen pata bhi naa chala...

Neha "amrita"





































8

दोस्ती

  कहाँ से शुरू करू  दोस्ती के मतलब बताना थाम ले जो हाथ  बिन मेरे कुछ बोले वो है असली दोस्त कहाँ से शुरू करू दोस्ती की दहलीज़  पर खड़े हो कर  ब...